Monday, June 29, 2009

पहली बारिश... बांवरा मन...


aakhirkaar itne intezaar aur minnaton ke baad indr dev prasaan hue aur monsoon ki pehli baarish kuchh yun barsi ki ped paudhe, tan man, mausam, fizaayen...saari kaynaat sab dhul ke naye navele ho gaye...yun nikhar gaye maano abhi abhi beauty parlour se saj dhaj ke nikle ho :-) ... aaj subah office aate samay jab cantt se gaadi drive karte hue aa rahe the to dhule dhule pedon ki ajeeb si madhosh kar dene waali mehek aur mitti ki saundhi saundhi khushbu se dil itna khil utha ki man ho raha tha door tak bas yun hi drive karte rahen... office jaayen hi nahin... man to man hai... mausam ke saath banwra ho gaya tha itne me haath ki ghadi pe nazar padi aur man maar ke office ki taraf mudna pada...
ab physically to office me aa gaye hain but kaam karne me man nahi lag raha hai... office ki khidki se bahar padti bauchharon ko dekh dekh kar baarish me bheegne ka man ho raha hai... waise ek baar bahar ka chakkar laga kar aa bhi chuke hain :-)... aur ek hi khyaal man me aa raha hai baarish ki boondon ki aawaaz se madhur bhi kya koi sangeet hota hai ??
itne suhane mausam me parvin shakir ji ki ek nazm yaad aa rahi hai... leejiye aap bhi padhiye aur lutf uthaaiye...

वही मौसम है
बारिश की हँसी
पेडों में छन छन गूंजती है
हरी शाखें
सुनहरे फूल के ज़ेवर पहन कर
तसव्वुर में किसी के मुस्कुराती हैं
हवा की ओढ़नी का रंग फिर हल्का गुलाबी है
शनासा बाग़ को जाता हुआ खुश्बू भरा रास्ता
हमारी राह ताकता है
तुलु-ए-माह की साअत
हमारी मुन्तज़िर है

-- परवीन शाकिर

शनासा : परिचित; तुलु-ए-माह : सूर्योदय; साअत : समय

5 comments:

  1. आज जब शाम मौसम ठंडा और रूमानी था ... और मैं खडा था उस जगह जहाँ खडा होना मुझे अच्छा लगता है ....रिमझिम रिमझिम बारिश होने लगी....बारिश की नन्ही नन्ही बूँदें जब तन पर पड़ी तो एक सुखद एहसास हुआ.....काफी देर तक भीगता रहा....बारिश से बचकर भागने वाले मुझे यूँ ही देखते रहे

    ReplyDelete
  2. सच है अनिल जी बारिश का मौसम कुछ ऐसा ही बांवरा कर देने वाला होता है ... अब समझने वाली बात तो ये है कि बाँवरे असल में हैं कौन - वो जो हमारी तरह इसका आनंद लेते हैं या वो जो इन नन्ही नन्ही बूंदों के कोमल स्पर्श से बचते फिरते हैं :)

    ReplyDelete
  3. is barish ne to rumaani bana diya tha..... but aaj mausam garm hain.....jaldi se barish par kuch naya post karo..... shayad badlon ko taras aa jaye :-)

    ReplyDelete
  4. hmmm... humari post na hui raag malhaar ho gaya... bas raag chheda aur baarish shuru :)

    ReplyDelete
  5. monsoon aajkal latest news bana huaa hai...yahaan to khoob baarsh ho rahi hai

    ReplyDelete

दिल की गिरह खोल दो... चुप ना बैठो...

Related Posts with Thumbnails