aaj aapke saath gulzar sa'ab ki ek aisi nazm share karne ja rahi hun jo mere dil ke bahot kareeb hai aur aaj tak chand hi logon ke saath ise share kara hai, bataya tha na thodi kanjoos hun is maamle me :-) is nazm me bahot hi sehej aur saral tareeke se gulzar sa'ab bhagwaanji se kuchh farmaate hain, bilkul ek bachchhe ki tarah seedhi aur sachhi tarah se kiya hua sawal jisme wo bachcha bhagwaan ke astitwa par hi ungli utha deta hai, bina ye jaane ki wo kya kar raha hai... zara aap log bhi suniye aur padh ke mehsoos kariye, jo main apne shabdon me shayad nahin samjha pa rahi hun...
चिपचिपे दूध से नहलाते हैं, आँगन में खड़ा कर के तुम्हें
शहद भी, तेल भी, हल्दी भी न जाने क्या क्या
घोल के सर पे लुंदाते हैं गिलसिया भर के
औरतें गाती हैं जब तीव्र सुरों में मिल कर
पांव पर पांव लगाए खड़े रहते हो
इक पथराई सी मुस्कान लिए
बुत नहीं हो तो परेशानी तो होती होगी
जब धुंआ देता लगातार पुजारी
घी जलाता है कई तरह के छौंके दे कर
इक ज़रा छींक ही दो तुम,
तो यकीं आए की सब देख रहे हो
-- गुलज़ार
meri fav gulzaar saheb ki is poetry ko tumne beparda kiya.... khafa thi tumse jo sare aam numaish ki.. par socha kaun baand sakta hain.... Bhagwaan ko. padho to lagta hain apni hi dastan ho.....mere hi shabd hain ye to bes naam gulzaar saheb ka hai.... keeps on good job
ReplyDeletesahi kaha priya tumne... pehle hum bhi aise hi sochte the isiliye itne saalon tak apna collection kisi se share nahi kara... phir socha ki gulzar sa'ab ya ye sab bade bade lekhak bhi apni kritiyan humare saath share nahi karte unhen publish nahi karwaate to wo hum tak bhi nahin pahunchti aur hum log kabhi cheezon ko is nazariye se nahi dekh paate... infact we should be thankful to them ki unhone apni creations humare saath share kari... hum to bus aap sabko apni pasand se roobaru karwa rahe hain...hope ki aapki narazgi kuchh had tak kam hui hogi :-)
ReplyDeleteगुलज़ारियत एक नया धर्म होना चाहिये.. गुलज़ार को जानने वाले कितनी आसानी से एक दूसरे को समझ लेते है.. जैसे दोनो ने आईने पहने हो..
ReplyDeletewonderfull. !!
ReplyDelete