Kaafi samay se, ab to yaad bhi nahin ki kab se, jab kabhi koi nazm, kavita, sher ya aise hi koi line, jo kahin padh ya sun li ho, achhi lagi, use apni diary me likhti aayi hun, abhi haal hi me ek purani diary haath lagi to apna collection dekh kar kaafi khushi hui aur socha ki apne is collection ko aap sabke saath share karun... waise thodi kanjoos hun is mamle me :-) phir bhi socha chalo sab ek jagah ikattha karen aur bas janm hua is blog ka... sabse pehle shuru hui ek achchhe se naam ki khooj... hindi, english, urdu, har language me... inke siwa aur koi language nahi aati :-) thodi bahot punjabi samajh leti hun bas... haan to naam dhundhne ki is kawaayad me kafi samay laga, samajh me nahin aa raha tha ki kya naam den apne is majmue ko... phir socha ki ye sab mera creation to hai nahin, its just a collection of some thoughts, of various poets and personalities, jo humen pasand aaye aur laga ki humari soch ko kisi ne shabd de diye, wo thoughts jo humne kaafi saalon se sanjo kar rakhe hain aur phir ek naam soojha "Lamhon ke jharokhe se...", to aaiye aap bhi mere saath is jharokhe se jhankiye aur roobaru hoiye mere sangrah se... kuchh meri hi soch shayad, ya pasand, jise shabd auron ne diye !!
अंतहीन रील्स और साल के तीस दिन
5 days ago
aap apne name ke anurup hi talented ho. Richa shlok ko kahte hai!
ReplyDelete