"उसको भूले से पढ़ लिया था कभी, तब से आदत बिगड़ गई शायद,
तब से हैं मेज़ पे खुली रखी, हज़ार रातें पश्मीने की"

aaj kaafi dino ki masroofiyat ke baad kuchh samay mila hai to socha sabse pehle wo kaam kar le jo shayad aaj se paanch din pehle hi kar lena chahiye tha 18th August ko... khair der aaye durust aaye... yun to dil se duaayen usi din de di thi par aaj ek baar phir se gulzar sa'ab ko janm din ki dher saari shubhkaamnaayen...
gulzar sa'ab ko kab se padhna shuru kara tha ye to yaad nahi... par pasand humesha se hi the... shayad tab se jab bachpan me unka likha wo song suna tha... "mera kuchh saamaan..." ya tab se jab ye pata bhi nahi tha ki gulzar naam ka koi shayar hai jisne ye gaana likha hai... haan kabhi kabhar filmfare awards me zaroor unhen dekha tha... kalaf kara hua safed kurta paijama, pairon me moojri, aankhon pe moote se frame ka chashmaa aur hoothon pe ek chir parichit muskan... bilkul ek aam aadmi ki tarah... unki ye aam aadmi waali image jaise dil me bas gayi thi... aur bahot saalon baad jab shayad thodi akl aayi ki unka likha kuchh samajh saken tab se unhen padhte aur pasand karte aaye hain.
sabse juda, sabse alag gulzar sa'ab ka apna hi ek style hai... roz marra ki zindagi se kuchh shabd uthate hain aur unhen ek ladi me piro ke ek khoobsoorat sa geet bana dete hain "din khaali khaali bartan hai aur raat hai jaise andha kuaan"... ya aajkal ka latest song hi le leejiye "aaja aaja dil nichoden, raat ki matki toden, koi good luck nikalen, aaj gullak to phoden"... ab bhala bataaiye ye gullak, bartan, matki in shabdon me bhi koi khoobsoorti dhundh sakta hai bhala? par gulzar sa'ab to phir gulzar sa'ab hain... the one and only...
gulzar sa'ab ko jitna humne samjha hai wo ek bahot keen observer hain... apne aas paas jo kuchh ho raha ho use bahot hi dhyaan se observe karte hain aur usse prerna lete hain aur wahi sachchayi unki likhi nazmon me nazar aati hai... kabhi rishton ka taana baana, to kabhi zindagi ke phalsafe, kabhi ek masoom bachche ke masoom sawaal to kabhi prakriti ka aseem saundarya... sabhi kuchh sameta hai unhone apni nazmon me... aur kahin agar un nazmon ko wo apni aawaaz me padh de to samajhiye mazaa dugna ho jaata hai... waise aapne kabhi gulzar sa'ab ki likhi kahaniyan padhi hain? kabhi mauka mile to zaroor padhiyega... apni nazmon ki hi tarah kuchh alag par dil ko chhu lene waali hoti hain...
ab tak to aap log jaan hi gaye honge ki aap sabhi ki tarah hum bhi gulzar sa'ab ke ek adna se fan hain :-) ... aur apni har dursi post me unhi ki nazm pesh karte rehte hain... par kya karen unka likha sabhi kuchh itna achha hota hai ki man hi nahi maanta...
waise to gulzar sa'ab ke baare me kitna kuchh hai share karne ke liye par wo sab phir kabhi... aaj to bas unko ek lambi aur sukhad zindagi ki dher saari shubhkamnaayen aur ye ummed ki wo hamesha aise hi likhte rahe...

ना आमद की आहट और ना जाने की टोह मिलती है
कब आते हो
कब जाते हो ...
ईमली का ये पेड़ हवा में हिलता है तो
ईंटों की दीवार पे परछाईं का छींटा पड़ता है
और जज़्ब हो जाता है, जैसे,
सूखी मिट्टी पे कोई पानी के कतरे फेंक गया हो
धीरे धीरे आँगन में फिर धूप सिसकती रहती है
कब आते हो
कब जाते हो
दिन में कितनी बार मुझे तुम याद आते हो ...
बंद कमरे में कभी कभी
जब दिए की लौ हिल जाती है तो
एक बड़ा सा साया मुझको
घूँट घूँट पीने लगता है
आँखें मुझसे दूर बैठ के मुझको देखती रहती हैं
कब आते हो
कब जाते हो
दिन में कितनी बार मुझे तुम याद आते हो ...
ना आमद की आहट और ना जाने की टोह मिलती है
कब आते हो
कब जाते हो
दिन में कितनी बार मुझे तुम याद आते हो ...
-- गुलज़ार
ik achchi post ke liye badhai waqai gulzar vo hasti hain jin ko padhkar padhne ki lat lag hi jaati hai...badhai ho
ReplyDeletesabse pahle to ye batao ye naayab ratna laati kaha se ho?.....ek to gulzaar sa'ab ki nazm duje unki aawaj aur teesra aapka andaaz .....ab agar ham deewane ho jaye to gunaahgaar bhi ham bhi :-)
ReplyDeleteऋचा जी ,
ReplyDeleteसबसे पहले तो ये कहूँगी तस्वीर अपनी लगायें इससे हम आपसे भी परिचित हो सकेगें ...दुसरे गुलज़ार साहब को यूँ ही पढ़वाते रहिये एक सुकून सा मिलता है इनकी नज्मों से ......!!
vaah.....aapke blog par apne fav. ko paakar mazaa gayaa....gulzaar ji ke bahaane aapko bhi to dekha samjhaa.....vaah....kyaa baat hai.....!!
ReplyDelete