kaafi samay se soch rahe hain amrita ji ki koi nazm apne blog me shaamil kare... par soch ab tak sirf soch hi thi us soch ko shabd nahi de paaye ya yun kahiye ye decide nahi kar paaye ki unki kaun si rachna pehle shaamil karen... unka likha sabhi kuchh itna achhha hai ki confuse hona lazmi tha... par aaj unke janmdin ke awsar par unhen yaad kiye bina nahi reh sakte...
amrita pritam... ye naam sahitya premiyon ke liye naya nahi hai... kabhi kahani, kabhi upanyaas, kabhi kavita to kabhi aatmkatha, saahitya jagat ko khaaskar punjabi saahitya jagat ko jaane kitna kuchh diya hai unhone... unki kalam se nikla ek ek shabd itna jeevant hota tha ki seedha dil ko chhuta tha...
ek aisi khush mizaj swatantra rooh jisne zindagi apni sharton par ji aur khulkar ji... phir chaahe wo saahir ke liye unka lagaaw ho ya imroz ji ke saath rehne ka unka faisla, unhone na kabhi kuchh duniya se chhupaya na hi kabhi duniya ki parwaah ki... par is beparwaahi ne unhen bahot akela kar diya tha... aur aise me unka saath diya imroz ji ne... imroz wo shaks hai jinhone amritaji ke ant samay tak unka saath diya ek dost, ek humkadam, ek humraah banke... ek ankaha, anaam rishta jo unhone pure chaalees saal jiya saare duniyaavi rishton ko taak pe rakh ke...
aaj yahan amrita ji ki jo nazm pesh karne ja rahe hain wo unhone imroz ji ke liye likhi thi, unki likhi kuchh aakhiri poems me se ek

मैं तेन्नु फेर मिलांगी
कित्थे ? किस तरह ? पता नहीं
शायद तेरे तख़य्युल दी चिणन बन के
तेरे कैन्वस ते उतरान्न्गी
जा खौरे तेरे कैन्वस दे उत्ते
इक रहस्मयी लकीर बनके
ख़ामोश तेन्नु तकदी रवान्न्गी
मैं तेन्नु फेर मिलांगी
जा खौरे सूरज दी लौ बनके
तेरे रंगा विच्च घुलान्न्गी
या रंगा दियां बावां विच्च बैठ के
तेरे कैन्वस नु वलान्न्गी
पता नहीं किस तरह, कित्थे
पर तेन्नु ज़रूर मिलान्न्गी
या खौरे इक चश्मा बनी होवान्न्गी
ते जिव्वें झर्नेया दा पानी उड़दा
मैं पानी दियां बूंदा
तेरे पिंडे ते मलान्न्गी
ते इक ठंडक जई बन के
तेरी छाती दे नाल लगान्न्गी
मैं होर कुछ नहीं जांदी
पर एन्ना जान्दियाँ
की वक्त जो वि करेगा
एह जनम मेरे नाल टुरेगा
ऐ जिस्म मुक्दा है
ते सब कुछ मुक जांदा है
पर चेतियाँ दे धागे
कायनाती कणा दे होंदे
मैं उन्हा कणा नु वलान्न्गी
धागेयाँ नु वलान्न्गी
ते तेन्नु फेर मिलान्न्गी
-- अमृता प्रीतम
--------------------------
ye translation net pe hi kahin mila tha... poem samajhne me aapki help karega...
I will meet you yet again
How and where? I know not.
Perhaps I will become a
figment of your imagination
and maybe, spreading myself
in a mysterious line
on your canvas,
I will keep gazing at you.
Perhaps I will become a ray
of sunshine, to be
embraced by your colours.
I will paint myself on your canvas
I know not how and where
but I will meet you for sure.
Maybe I will turn into a spring,
and rub the foaming
drops of water on your body,
and rest my coolness on
your burning chest.
I know nothing else
but this much
that whatever time will do
this life will walk along with me.
When the body perishes,
all perishes;
but the threads of memory
are woven with enduring specks.
I will pick these particles,
weave the threads,
and I will meet you yet again.
-- Amrita Pritam
" 'main tennu pher millangi' 2002 me likhi is kavita ke saath amrita ke lekhan ki umr puri ho gai. kal tak 84 barson se khayaalon ke dariya me apni kashti me palang par baithi kavita likhti , kavita jeeti wo zindagi ke paanchon dariyaaon ko pal-pal paar karti rahi... aur aajkal wo apne palang par saanson ke paaniyon me dol rahi - sirf dol rahi..."
--Imroz
aaj amrita ji humaare beech nahi hai par unke shabdon ki khushbu aaj bhi fiza ko mehkaati hai... aur aane waali kaai sadiyon tak amrita yun hi mehkegi...
"The fact that I am alive means that Amrita is not dead. My life is full of the beautiful moments that we shared. Now all those moments are transformed into sweet little poems... Together we enjoyed the flowering of the tree of life and now the tree is becoming a seed again and this seed is my Amrita. I brought a paper and she flowered into so many beautiful words on it."
-- Imroz
amrita ji ke baare me itna kuchh hai kehne ke liye par na shabd aur na hi samay saath de rahe hain... baaki phir kabhi... abhi aapko gulzar sa'ab ke saath chhod jaate hain... suniye unka kya kehna hai amrita ji ke baare me...